Monday, June 11, 2007

" Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera "



Ho ker Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon



Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon



Aman Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mila Mujhe
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon

Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon

Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Teri Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon



Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon

Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon

Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon



joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon



Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon

Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Teri Banjaoun Kabhi
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon

Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun KAROON...




No comments: