Saturday, June 23, 2007

A GIRL IN LOVE - Shaayad unse pyaar karne lagi hun..!............


Pehle mein chain se soya karti thi,
ab raaton ko karvatein badalne lagi hun.

pehle mein sabse bahut baatein kiya karti thi,
ab chupchaap rehne lagi hun.


pehle mein mehfilon mein raha karti thi,
ab akeli rehni lagi hun.


shaayri aur kavitaaon ka shokh nahi tha mujhe,
par ab khud shaayri likhne lagi hun
.


unse mulakat hone ke baad,
jaane kyun unke baare mein hi sochne lagi hun.


pehle mein doston ki nakal kiya karti thi,
ab aaine ke saamne unki nakal karne lagi hun.


zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak,
unke saath chalne ki khwayish karne lagi hun.


sablog unka naam le lekar mujhe pareshaan kiya karte the,
par ab yeh pareshaani bhi pasand karne lagi hun.


jo lamhe humne saath bitaye the,
woh lamhe ab roz yaad karne lagi hun.


woh mujhe jin baaton par hasaya karte the,
ab un baaton ko dohra dohra kar hasne lagi hun.


sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte the,
par ab yahi sawaal khud se puchne lagi hun.


bhale hi woh mujhse door hain par,
har ghadi unki aahat mehsoos karne lagi hun.


ab to unka zikar hone par,
main to sharmane lagi hun.


pehle main mandir jaati thi bhagwan ke darshan karne,
par ab unke darshan ki duaa maangne lagi hun
.


pehle woh mujhe begaane lagte the,
par ab unme woh apnapan mehsoos karne lagi hun.


pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhti thi,
par ab woh sab samjhne lagi hun.


main apni khudki haalat pe hairan hun,
main aisi kyun hone lagi hun?

mujhe aisa lagta hai yaaron,
shaayad mein unse pyaar karne lagi hun..!

Aadi

No comments: